Thursday, November 12, 2009

Majboor

Majboor tu hi nahi apne dil se
hamari halat bhi kuch aisi hi lagthi hain
jis pal dekh na paon tujhe main
yeh nazrein bechain ho ut thi hain..

Friday, March 20, 2009

Lullaby...for my sonny :)

so jaa munna so jaa
so jaa mere raaja
chinni sidhu so jaa
sooooo jaaaaaa....

raat ki raani aayegi
kahani tujhe sunayegi

pariyonki raani aayegi
sapno ki duniya dikhayegi

chanda maama laayenge
der saare khilaune

taare saare aayenge
jhoola tujhe jhulaayenge

so jaa munna so jaa
so jaa mere raaja
chinni sidhu so jaa
sooooo jaaaaaa....

btw my son's name is sidhu(Sidharth) :)

Friday, April 27, 2007

Yeh dil kya karein

Teri yaad aaye har pal mujhe, yeh dil kya karein
Raat jaaye par teri yaad na jaaye, yeh dil kya karein

Sapno mein tera chehra aajaye, yeh dil kya karein
Chehra tera neendh chura jaaye, yeh dil kya karein

Wednesday, April 25, 2007

Bewafaa kahoon tujhe yaa bekhabar..

Bewafaa kahoon tujhe yaa bekhabar..
Abhi Pyaar na hoga kabhi mujhe magar..
Na kabhi bhool paongi tujhe iss janam mein
Tune dil jo mera thoda iss kadar...

Chaahe hum tumhe yunhi...

Chaahe hum tumhe yunhi, bas yahi hain chaahat baaki
Tere sivaay kisi aur ki iss dil ko chaahat nahin..
Chaahkar bhi hum iss dil ko rok na paaye
Aisi hain Chaahat, iss pe kabhi kisi ka zor nahin…

Tuesday, April 24, 2007

Chaaha Bahut..

Chaaha bahut na chaahkar unhe, na jaane thi kaisi woh chaahat
Hum mittgaye unke iss chaahat mein, na jaane thi kaisi hamari yeh kismat
Tha woh ittefaaq ya thi hamari naseeba, ki hum mile aur bichadgaye
Bewafaa se wafaa ki umeed kar baitey, jo ek pal mein hamari aashiyaan jalaagaye

Wednesday, June 07, 2006

Shayari..

chodkar chale jayen bhi tho kaise..
nazron ko yun hataye bhi tho kaise..
dil ke haathon majboor hain hum...

beqaraari ke aalam mein aap hi nahi
yun tho hum bhi hain sanam...
*************************************

Sapne se ek din bahar aayegi woh..
Teri neend chain sab chura jayegi woh..
Sambhaalkar rakh apna dil yee dost
Warna yeh bhi kabhi apna bana jayegi woh...
****************************************

so jaoge bhi tho jaga dega yeh..
har dil ke qwaish ko panaah dega yeh..
bas apna muh na mod iss ishq se ye dost
anjaan raah par ek din haath tera thaam lega yeh..
******************************************

apne pyaar ka silsila
bas yun hi chalne do..
khulkar bayan na kar apni chahat ka
isse apne dil mein hi rehne do...

*******************************************

tujhse bichadkar main reh na paon
yeh dard-e-judai ab seh na paon
aakar apni baahon mein le le mujhe
kaisi hain yeh tadap main keh na paon....
*******************************************

hum bhi aapse bepanaah mohabbat kartey hain
dil mein aapki ibbaadat kartey hain..
ikraar-e-mohabbat kab na kiya humne
hum tho sanam aapke samajhne ka intezaar kartey hain..

*************************************************

bhool jaon tujhe yeh mumkin nahi
marna bhi hoga mushkil...
tere pyaar ki ada hain niraali
har baat hain khaatil...


*************************************************

na kaho kuch bhi
aankhen bahut kuch keh dethi hain..
khudko roklo jithna bhi
pyaar hal-e-dil bayan kar dethi hain..

*************************************************

ishq kab tha aasaan
har koi judaai ka ghum jaroor sehta hain..
par aise hi dil mein ye dost
khuda-e-mohabbat rehta hain..
*************************************************

bhari mehfil mein mohabbat-e-izhaar karoge
khudko hi nahi humein bhi badnaam karoge...
tera ek ishaara kaafi hain
bayan-e-mohabbat ke liye O sanam..
ladpadenge khudase tere liye hum har janam...
*************************************************

juda kabhi hoga na tu mujhse
aise tujhe dil mein basa rakha hain...
har saans par hi nahi
dhadkan bhi tere naam likha rakha hain...

*************************************************

kasam ki kasam..
hain tujhe meri kasam..
na kar pyaar ithna mujhe
dhadkane rukjayengi meri, ye sanam..
************************************************

teri yaad aaye tho tadap jaon main..
tere seene se lipatne ke liye taras jaon main..
na kar ithni bechain mujhe
ki khul-e-aam izzhar-e mohabbat kar jaon main...
************************************************

tumse hain zindagi
tum hi se hain pyaar..
root bhi jaon agar kabhi
mana tu lena mere yaar..
************************************************

dil ka fasana dil mein reh jaane do..
yeh pyaar ka tarana hum thak hi ruk jaane do..
nazar jo aagaya zamane ko apna pyaar
kardenge rusva bhare-bazaar mein, ye mere yaar..
************************************************

woh ajnabi na ab ajnabi ke jaisa..
sooni raah mein ek saathi ke jaisa..
milgaya woh yun chalte ek mod par
lage ab woh dil-O-jaan jaisa..
************************************************

kaarvan-e-mohabbat ka bas yun hi chalne do..
sooni raah par saath tera dene do..
yun tho kabhi choda nahi maine haath tera
aaj bas tere saath rusva mujhe hone do..
************************************************

na dosh hain tere kismat ka..
yeh khata bhi nahi tere mohabbat ka..
adkismat tho woh hain, ye dost
jisne samjha nahi dard tere dil ka...
************************************************

ishara tho kiya humne
par shararat seekha hain tere aankhonse...
bechaini ko jaana hain
teri pyaar bhari baatonse...
hoga na ab koi isshara
na hogi koi shararat
teri meri baatein hongi
aur bepanaah mohabbat.......
************************************************

aap ho wahin..
main bhi hoon wahin..
karna intezaar mera
chod na dena saath kahin..

bas ye judai tho do pal ka hain..
phir milenge hum ek duje se
uss mod par, wahin....
************************************************

meri raah bhi tu
meri manzil bhi tu...
jisse chaha humne be-intehaan
woh raaz-e-mohabbat bhi tu...

ab na kar zidd tu
bayan-e-mohabbat ka sar-e-aam
hojayega pyaar apna ek pal mein badnaam...
*************************************************

ishq mein tere diwaani hui main..
apnaya jo tujhe begani hui main..
bhari mehfil mein khudko paon tanha
jabse tujhe chahne lagi main...
*************************************************

yeh tadap hi hain meri jaan..
tere be-intehaan pyaar ki nishaani..
bina iss shikayat-e-mohabbat ka
hogi adhuri apni kahani...
*************************************************

apne milan ki hum intezaar karte hain..
dua mein aapko,khuda se maang liya kartey hain..
rab bhi yeh khubool kare
aapse hum be-intehaan pyaar kartey hain...
*************************************************

aa kareeb mere..
ya le mujhe apne paas..
reh na jaaye adhuri, ab dil ki koi aas..

aa bhar le mujhe apni baahon mein..
aur labon ko karne de shararat..
choole mere rooh ko
aur dil mein bharde teri mohabbat...
*************************************************

lajawaab tho hum hain sanam..
bas yeh tere pyaar ka kamaal hain..
dhadkane bad gayi hain dekho
bechain dil, behaal hain...
*************************************************

bekaraar jo hogayi..
tadpakar tujhe bhi jaongi...
bechaini ka aag tere dil mein
khud laga ke jaongi...
************************************************

jala tho khud gaye ho
apne pyaar ki aag mein..
phool bhi dekho murzagaye hain
mere saath tere intezaar mein...
************************************************

be-haal tho hum bhi hain sanam
tere iss deedar mein..
ruk jaathi hain dhadkane bhi
teri ek khayal mein..

kat tho jaatha hain din
hoti mushkil raat hain..
na jaane hain yeh kaisa
tere pyaar ka khumaar hain..
************************************************

utti nazrein tho dekha tujhe ye sanam..
khogaye main tere muskurahat mein
poocho na hua kya sitam...

saansein thi rukgayi,lab bhi sharmagaye...
ithna haseen muskaan dekh, nazre bhi jhukgaye..
**************************************************

yeh vaada hain tujhse
khaati hoon kasam...
door jo gaye mujhse
jaan ye doongi O sanam...
**************************************************

jaan tho meri
tujhe mein hain sanam..
kashmakash kaisi, kaisi hain uljhan..
jab thak saanse chale teri
main sang hongi sajan...
vaada hain mera, teri hain kasam..
**************************************************

barsaat ka hain nahi, yeh tere pyaar ka anjaam hain..
nazre tho jhuk gayi, tere shararat ka vaar hain..
be-wazah mujhpar behkane ka ilzaam hain..
jaanthi hoon ye sanam, yeh tere tadpaane ka andaaz hain...
*************************************************

tere bin ab tho jeena nahi..
bina tere ab tho saans lena nahi..
chahe ab laakh muhskilein aaye
yeh saath tho ab chootega nahi..
*************************************************



Jhuk gayi meri palkein, aankhein huyi nam..
dekh tera bepanaah mohabbat O-Sanam..

karde jo tu ikraar bhari mehfil mein aaj..
hogi mujhe fakr, hoga mujhe naaz..

ek nahi tu jo zamane ko dikhana chahe..
hongi saath main bhi, shaamil hongi mein
jhukna hi padega aaj sab ko, apni mohabbat ke aage..

************************************************

inn aankhon mein basi hain teri tasveer..
iss dil mein teri hi mohabbat..
kya karen iss deewanepan ka
jo khamoshi se kiye jaaye teri ibbadat...
*************************************************

tum aur sirf tum ho, mere iss dil mein...
tere siva har koi begana, iss bhari mehfil mein..
aajao tum jo saath dene, tho iss dil ko karaar aajaye...
ujhde hue gulistan mein, jaise phir bahaar aajaye..
*************************************************

pyar karenge, tera hum intezaar karenge..
ruth tho aane de milan ki
elan mohabbar ka sar-e-aam karenge..
guzar jo jaaye yeh imtihaan ki ghadi
tho har pal tera hum deedar karenge..
pyaar karenge, tera hum intezaar karenge..
**************************************************

dekha tujhe tho e-sanam
inn aankhon mein sapne jaag utte..
dil-e-nadaan pe yeh hogaya hain kya sitam
ki ab tho armaan bhi bhadak utte..
kaisa hain yeh jazbaat, yeh kaisa hain nasha
behak ke humko iss madhhoshi mein, ab tho aatha hain mazaa..
***************************************************

na karna pade tujhe intezaar
hum sab chod chale aaye..
ki ab tho dil hua hain bekaraar
tho karne ikraar chale aaye..
***************************************************

aayi jo baahon mein teri, tho mehek utti main..
lagke seene se tere, yun behek utti main..
na raha hosh, hui badi bekaraar
choom jo liya tune in hoton ko, tho nikhar utti main...
***************************************************

yaadon ko teri iss dil mein hain chupaya
sapne banjaaye woh, inn palkonpe basaya
din tho gaya, bas raat hain chali
teri yaad aagayi, par tu na kabhi aaya...
***************************************************

adayein tho thi, yeh haseen hui aapke pyaar mein..
dil tho tha, yun dhadakna jaan gaya tere ishq mein
nazrein tho jhukthi thi sharmse,yun nazar uta kar vaar karna,
katl-e-aam karna seekha gaya, nazar tere deedar mein...
***************************************************

bekaraari kyun ithni badthi hain sanam..
jab dekhloon tujhe ek nazar..
deedar ke liye taras utt thi hoon, teri kasam..
jab na aaye koi teri chitti, koi khabar...
***************************************************

tu jo root jaaye, tho dard mujhe hota hain..
haan kasam hain teri, dard bada hota hain...
*****************************************************

jal gayi main, machal gayi main
tere iss deedar mein O-mere sajan..
le mujhe apne kareeb, laga seene se
khone de hosh mujhe, hone de mujhe magan..
******************************************************

intezaar hain, humein uss pal ka
jab aapka deedar ho..
chaandni raat mein, taj ke aangan mein
hojaaye tho phir kya baat ho..

jee bharke dekhlena humein
reh na jaaye koi kasar..
seense lagalena humein
phir kahiyega kaisa hain asar..

zamane se alag nahi hum
lo hum bhi sarr jhukatey hain..
shahjahan aap hain
tho hum bhi mumtaaz hain..

Friday, June 02, 2006

Maar Daala..

Maar Daala..

Aankhon ke teer ke vaar se nahi..
hum ko tho uski gehrayi ne maar dala..

hoton ki pyaar bhari muskurahat nahi..
uski shararat ki adaa ne maar daala..

Ishq tu, ishq ki manzil bhi tu ...

Ishq tu, ishq ki manzil bhi tu
seene mein dhadaktey dil ka armaan bhi tu..

Saanson ki lehar se jo na judi
dil ka aisa rishta hain tuu..

Ishq tu, ishq ki manzil bhi tu ...

Teri Yaad Mein..

Teri Yaad Mein..
din gujaarta hain koi..
yaad mein raat kaat tha hain koi..

Teri yaad mein
aankhon mein sapne sajata hain koi..
yaad mein aahen bharta hain koi..

Teri yaad mein
hotonpe muskurahat lata hain koi..
naam lekar sharmata hain koi..

Teri yaad mein
dhadkan pe naam likhta hain koi..
saanson mein khushboo basataa hain koi..

Teri yaad mein
chaandni raat mein tadapta hain koi..
tujhse lipatne ke liye tarasta hain koi...